KHATAM KARONA LYRICS is the latest Hindi song sung by Emiway Bantai. The lyrics of the song are penned by also Emiway Bantai. While the music was given by PSYIK.
SONG DETAILS –
- Song : Khatam karona
- Singer : Emiway Bantai
- Lyricist : Emiway Bantai
- Music : PSYIK
- Label: Emiway Bantai
KHATAM KARONA LYRICS –
Haan… maloom hai na
Aye, door raho, door raho
Ek doosre se
Unh! Taiyar hai ki nahi public
Ghar baithe baithe machao
Bahar mat jaao
Gaane suno
Sanitizer lagao
Aur suno!
(Karona virus nai beta yeh karma hai)
Karma hai, Karma hai…
Haan!
Karona virus nai beta yeh karma hai
Dharti ka gussa hai
Sabko hi darna hai
Ab se nai karna hai
Prithvi ko ganda
Sab kuch chhodke
Ab ghar baitha banda
Chal beta banja sahi naagrik
Intezaar hai uss taarikh
Kab hoga sahi?
Jab hoga sahi
Sab ke zubaan pe ek hi sawaal hai nahi?
Ghar baithe mazze karo
Kyun kare dimag ka dahi
Bimari failega nahi
Call karo baat karo agli ko wish karo
Famous honeka toh mereko diss karo
Kuch bhi karo par ghar baitho kiss karo
Mummy aur papa ko kaam karo wish karo
Aye
Baahar nai janeka laathi barsarele
Police ko salute hai duty nibharele
Doctor log zindagi jaane bacharele
Tum kyu mararele haan!
Duniya ko insaan ne ganda kar daala
House arrest pe sab gussa hai uparwala
Tu kuch bhi kyun khaara
Khane ko halwa gajar hai
Zameen se niklela fruit hai
Har cheez mein chhoot hai
Insaan hi bangaya bhoot hai
Aapas mein ladrele jaati aur dharam pe
Bhul gaye insaniyat
Haivan bane
Bharosa bacha nai beiman bane
Do din ki duniya mein mehmaan hum hai
Ache jeene jaane ka
Khaneka peenaka
Kisi se kuch bhi nai leneka
Dil kholke deneka
Maine kaha pagaar
Doosre ka khaake tu marega dakaar
Khudko toh sudhar
Matlabi duniya se matle be udhaar
Badloge vichar
Daal chawal achaar
Khaake tu khush reh
Raste mein kidhar bhi kayko tum thookre
Chup reh kutre
Aapas mei lootre
Sabko salah dunga
Jaldi se sudhre
Haan hawa ho raha saaf
Paani hora saaf
Maalik insaano ko kardena maaf
Abse na dohrana
Purani harkate firse na milega
Mauka insaano ko
Sabak sekhne mila sabhi
Haivano ko
Chalo milke khatam kare kitanu ko
Gharpe raho
Ek hi upaay hai
Duniya ko bachane
Hum hi sipahi hai, Kya!
Karona se daro na
Ghar baitho aur khatam karo na
If you find anything wrong in this KHATAM KARONA LYRICS feel free to contact us.
Watch the full video of this song here –